Kya aap jante hain ki Google Algorithm kya hai aur yeh kaise kaam karta hai? Agar aap ek Blogger hai to Google Algorithms aur Google Algorithm Update ke bare mein apko pata hona chahiye. Iss Post mein main apko Google Algorithm kya hai aur kaise kaam karta hai? Puri jankari de raha hu. Toh chaliye jante hain, What is Google Algorithm in Hindi – Complete Guide 2019

Google Algorithm In Hindi

Agar aap ek Blogger hai to apko Google Algorithm ke bare mein jarur pata hona chahiye. Kyoki isse apko apne Blog ka SEO karne aur usse Google mein top print dilane mein help milti hai.

Website hi ya Blog, usko Google mein Rank karane ke liye jis SEO (Search Engine Optimization) ki jarurat padti hai. Uske liye apko Google Algorithms ki Knowledge honi chahiye.

Agar aap Internet Marketing se jude hue hain to apne iske bare mein jarur suna hoga. Agar nahi bhi suna hoga toh koi baat nahi iss article mein apko Google Algorithm ki puri detail mil jayegi.

Content:


Google Algorithm Kya Hai?

Google Algorithm ek SEO Process hai jo user ke through search ki gayi Query ke liye resultant WebPages ko Rank karne ke liye use kya jata hai.

Google Search Engine mein Spam ko filter karne aur behtar Results dikhane ke liye jin Factors ka use karta hai, unhe Google Algorithm kehte hain.

Google apne Search Engine par User Experience ke vibhinn pehluo ko behtar banane ke liye niyamit samay par jo changes karta hai woh sab Google Algorithm ke antargat aate hain.

Inn Algorithm changes ko duniya bhar mein users ke dwara Update (Google Algorithm Update) ke roop mein referenced kiya jata hai.

Jab aap Google mein koi Keyword search karte hai to hazaro lakhon result aate hain. Google Algorithms yeh tay karte hain ki kon se result dikhane hain aur kis position mein.

Google apne Algorithm ko baar-baar badalta rehta hai. Jisme kon sa content kis tarah se aur kaise Google mein Rank karega ke rule badalte rehte hain. Taki koi spamming nahi kar paye.

Iss Algorithm update ki help se Google apne Search Engine se bekar ke content ko hatakar (arabo webpages se) sabse achhe aur behtar content ko Top mein dikhata hai.

Starting years mein Google ne apne Algorithm mein kam update kiye the. Lekin ab Google Algorithm mein har saal hazaro Updates aate hain. Lekin Google apne Algorithm update ke bare mein bahut hi kam jankari share karta hai.

Google Algorithm Kaise Kam Karta Hai?

Google Algorithm kaise karta hai, isko achhe se samajhne ke liye pehle apko yeh samajhna hoga ki Google Search Engine kaise kam karta hai?

Tabhi aap “How Google Algorithm Work” matter ko achhe se samaj paoge. Toh chaliye main apko iske baare mein detail mein batata hu.

Google iske liye 4 tarike istemal karta hai.


  1. Crawling Web Pages: Sabse pehle Google Spider (Googlebot) Internet par moujud Billion Webpages ko Crawl karta hai.
  2. Analyze Page Contents: Uske baad jo Pages Internet aur Web Server par Available hai, usse Analyze karte hain.
  3. Store in the Content: Uske baad Google unn sabhi Webpages ko apne store mein save kar leta hai.
  4. Filter (by Ranking Algorithms): Fir Google Algorithm ke hisab se filter kar unki Ranking decide ki jati hai.
Iske baad baat aati hai Google Algorithm ke kam karne ki jo Search Engine mein WebPages ki Rank check karta hai. Chaliye jante hai iske bare mein,

Google Algorithms Index kiye gaye WebPages ko bariki se check karta hai aur dekhta hai ki unn sab mein kon sa Content behtar hai aur kisko Top mein lana hai.

Iske liye wo Website ki Content Quality, Domain Authority, Backlinks jaise kayi SEO Factors ke hisab se pages ki Ranking Decide karta hai.

Google Algorithm ek nahi balki hazaro SEO Factors aur Algorithm Updates ke hisab se WebPages ko Rank deta hai.

Unn sabhi Algorithm Updates mein Ranking ke alag-alag rule lagu kiye jate hain. Isliye sirf ek Algorithm ke Rules ke bare mein batana galat hoga.

Google ke naye purane bahut se Update hai. Chaliye main apko inke baare mein thoda detail se bata deta hu.

Yeh 2018 ki kuch Top Google Algorithm Update thi. Lekin unme se yeh teen sabse Popular hai.

Important Google Algorithm Updates

  1. Google Panda: Yeh mukhya roop se Content ki Quality par dhyan deta hai.
  2. Google Penguin: Yeh mukhya roop se Links ki Quality par dhyan deta hai.
  3. Google Humming Bird: Yeh Conversational search queries ko kayi tariko se Accurately handle par dhyan deta hai.

Jo Website inn Updates ke anukul (Favorable) hoti hai unki Google mein Rank badh jati hai aur jo inke niyamo se pare hai unki Rank down ho jati hai. Google Bad, Spam Content Website ko Penalty de kar SERPs se block kar deta hai.

Humne Google Core Algorithm Update ke bare mein Full Details ke sath Guideline share ki hai. Jisase aap Google Algorithm Work ko achhe se samajh sakte hain.

Yeh thi Google Algorithms ki jankari. Iss tarike se Google apne Algorithms ke zariye Search Engine mein Better aur Helpful jankari available karwata hai. Google Algorithms ki Latest Update ke bare mein adhik jankari ke liye aap Moz ka Google Algorithm Change History bhi dekh sakte hain.

Conclusion

Maine yanha par Google Algorithm ke bare mein short mein bataya hai. Ummed hai apko yeh information achhi lagi hogi aur apko Google Algorithms kya hai aur kaise kak karta hai ke bare mein achhe se samajh aa gaya hoga.

Agar apka Google Algorithm ko lekar koi sawal ya sujhav hai toh aap Comment section mein pahunch sakte hain. Aap ki har possible help ki jayegi.

Read Also





Post a Comment

أحدث أقدم