YouTube se earning karna website se zyada aasan hai. Website se paise earn karne ke liye hame bahut kuch sikhne ki jaroorat padti hai par youtube se ek aisa tarika hai jisase ek naya person(Beginner) bhi asani se paise kama sakta hai. Agar aap ek naye Youtube usee hai aur Youtube se Income karne ke bare mein soch rahe hain toh apke dimag mein ye question jarur aa raha hoga ki YouTube se paise kaise kamaye? Agar aa raha hai to yeh article aap hi ke liye hai. Iss article mein Youtube se paise kmane ki puri jankari di hui hai.

Make money online from youtube

How To Make Money From Youtube (YouTube se paise kaise kamaye)?

YouTube se paise kamane ke liye apko sirf youtube par apna ek Channel banana hoga. Youtube apko channel banane ki (No Cost) suvidha deta hai. Uss channel par apko apni video monetize karni hogi. Uske baad apko apni video monetize karni hogi aur apna Youtube channel Google Adsense se connect karna hoga.

Google Adsense se connect karne par Adsense apki videos par Ads show karega aur jab koi unn Adsense Ads par Click karega to apki income hogi.

Toh agar aap YouTube se paise kamane mein Interested hai aur video banane ke liye passionate hain toh aap bhi Youtube se paise kama sakte hain agar haa to yanha apko neeche diye gaye sawalo ke jawab details mein mil jayenge.


  • YouTube se Paise kaise kamaye?
  • Youtube par Channel kaise banaye?
  • Youtube par Video kaise Upload kare?
  • YouTube video ko Monetize kaise kare?
  • Youtube video ko Adsense se connect kaise kare?

Agar aap YouTube se paise kamana chahte hai to apko inn sabhi sawalo ke sahi jawab chahiye. Agar aap inn sawalo ke jawab dhundh rahe hai toh yanha main apko inn sabhi sawalo ke short jawab de raha hu.

YouTube se paise kamane ki puri jankari

YouTube se paise kamana aasan hai iss article mein Youtube se Income karne ki puri jankari di gayi hai. Aap iss article ko follow karke aasani se Youtube se paise kama sakte hain to chaliye shuru karte hain.

Iske baad apko Youtube par apna chanel banana padega. Youtube Google ki sk service hai aur iss par Account banane ke liye apko sirf Youtube site par apni Google ID (Gmail Account) se Sign-in karna padega aur apne Channel ka Name enter karna hoga.

Aap jis name ae youtube par apna channel banana chahte hai wo name type kare. Bas itna karne par Youtube par apka Channel ban jayega.

Youtube par channel banane ke baad video Upload karna sikhiye aur 10 - 15 khud ke banaye hue video upload kijiye. Kuch video upload karne ke baad apko apne Channel par Subscribers lane ki jarurat padegi.

Kuch achhe video upload karne aur Subscribers badhane ke baad apko apni Youtube videos ko monetize karna hoga. Uske liye apko apne Channel ko Google Adsense se connect karna padega.

Youtube videos ko Adsense se connect aur monetize karne ke baab Adsense apki videos par Ads karega aur jab bhi koi user ya viewer unn Ads par click karega to apki earning hogi.

Toh iss tarah aap Youtube se paise kama sakte hain. Maine yanha Youtube se paise kaise kamaye ki puri jankari short mein de di hai. Mujhe vishwas hai ki aap iss article ko padh kar Youtube se aasani se Income generate kar sakte hain.

Iske alava agar aap Youtube ke bare mein aur articles padhna chahte hain. To aap mere iss blog Gyanesh.in par ja kar Youtube category par click karke Youtube ke bare mein details me jan sakte hain.

Mera Aim (maksad) tha apko Youtube se paise kaise kamaye ke bare mein detail mein batana aur mujhe yakin hai iss article mein apko iske bare mein puri jankari mili hogi aur agar nahi mili hai to aap Youtube ke bare mein comment mein apna sawal puch sakte hain.

Sath hi agar apko Youtube se paise kaise kamaye ke bare mein iss article ki information achhi lage to isse Social Media par apne doston aur other people's ke sath share jarur karna.

Post a Comment

أحدث أقدم