Turbo C ya C++ Sabse purana aur pehla IDE ya C, C++ Compiler hai, jiska use students C Programming sikhne ki kosish mein karte hain. Halanki, Turbo C++ kafi purana hai, Learning Programming ki baat kare to yeh ab bhi ek bada hissa hai.
Yanha ek simple Tutorial hai jo apko dikhayega ki aap apne Android Phone ya Tablet par Turbo C/C++ ko simply kaise install kar sakte hain aur use kar sakte hain. Taki aap program ko run kar ke usse Execute kar sake.
Yanha ek simple Tutorial hai jo apko dikhayega ki aap apne Android Phone ya Tablet par Turbo C/C++ ko simply kaise install kar sakte hain aur use kar sakte hain. Taki aap program ko run kar ke usse Execute kar sake.
Content:
- Requirements For This Operation (Iss Operation Ko Perform Karne Ke Liye Avashyakta)
- How To Use Turbo C/C++ Compiler In An Android Mobile (Android Mobile Mein Turbo C/C++ Compiler Ka Use Kaise Kare)?
Requirements For This Operation (Iss Operation Ko Perform Karne Ke Liye Avashyakta)
- Android Mobile
- Internet Connection
- ES File Explorer
- Zip File Of Turbo C/C++
How To Use Turbo C/C++ Compiler In An Android Mobile (Android Mobile Mein Turbo C/C++ Compiler Ka Use Kaise Kare)?
Doston, Sabse Pehle Apko Apne Android Mobile Mein Ek Files Download Karni Hogi Jo Ki Zip Format Extension Ke Sath Hogi. Iss Zip File Ko Download Karne Ke Liye Neeche Diye Gaye Link Par Click Kare.
Than, Uske Baad Apko Apne Android Mobile Mein Ek Application Download Karni Hogi Jiska Name Hai Es File Explorer Jo Ki Apko Play Store Par Mil Jayegi. Usse Direct Download Karne Ke Liye Aap Neeche Diye Gaye Link Par Bhi Click Kar Sakte Hain.
Now,
- Ab Apko Apne Android Mobile Mein Es File Explorer App Ko Open Karna Hoga Aur Kuch Permissions Ko Allow Karna Hoga.
- Than Aapko Es File Explorer Ke Right Corner Mein Ek Search Icon Dikhega Aapko Uspar Click Karna Hoga.
- Search Bar Mein Aapko Search Karna Hoga "Turbo".
- Apko Apki Zip File Mil Jayegi.
- Uske Baad Apko Zip File Par Long Press Karna Hoga Jisse Apki Mobile Screen Par Options Show Honge.
- Apko Bottom Mein Right Corner Mein Three Dots Dikhenge Apko Uspar Click Karna Hoga Jisse Apko More Options Show Hone Lagenge.
- apko unn option list mein se "extract to" ke option par click karna hoga.
- uske baad apko "choose path" par click karna hoga.
- aur Ok par click karna hai.
- uske baad apke samne iss tarah ka ek pop-up ayega:
- Uske Baad Apko "Apply To All" Ko Tick Karke "Skip" Par Click Karna Hai.
- Uske Baad Apko Process Puri Hone Tak Wet (2-3 Minute) Karna Hoga.
- Uske Baad Apko Apne Es File Explorer Ke Search Bar Mein Search Karna Hoga "DOS".
- Uske Baad Apko "AnDOSBOX(1.1.6).apk" Name Ki Ek Application Dikhayi Degi Apko Usse Install Karna Hoga.
- Agar Apko Isse Use Karne Mein Koi Pareshani Ho To Aap Neeche Diye Gaye Tutorial Ko Dekh Kar Usse Dur Kar Sakte Hain.
Agar Apko Ye Tutorial Pasand Aaye To Isse Apne Friends Aur Other Se Social Media Ke Through Share Jarur Kare.
Nice tutorial
ردحذفإرسال تعليق