Hi Guys, kaise ho aap I hope aap bahut hi achhe honge aaj ke iss article mein main aapko batane wala hoon short mein ki algorithm, flowchart aur pseudo code kya hota hai to chaliye shuru karte hain.

Algorithm Flowchart Pseudo Code

Algorithm

ALGORITHM yeh ek tarika hai, jisne hum kisi bhi question ya problem ke solution ko step by step tarike se likhte hain. Jaise ki agar apko chay banana ho to Algorithm kuch iss tarah hoga.


  1. START (Algorithm Ki Starting).
  2. Pehle chay patti, pani, chini, doodh, aur katora lelo.
  3. Katore mein pani aur chay patti, dal ke ubalo.
  4. 10 min ke baad usme doodh dalo aur fir se ubalo.
  5. Ab chalni se chhan le.
  6. Aapki chay teyar hai.
  7. END (Algorithm Ki Ending)
Yanha chay banana ek problem hai, isko hum step by step likh liye yeh solution hai. Jise Algorithm ka roop dekar likhe hain. Chalo ek aur Example le lete hain. Hum do number ko jodna chahte hain to iska Algorithm kuch iss tarah hoga.


  1. START (Starting Of An Algorithm).
  2. Do integer variable x aur y liya jaye.
  3. 5 ko x mein store kare.
  4. 10 ko y mein store kare.
  5. integer variable sum=0;
  6. Ab x aur y ko jod ke sum variable mein store kare (sum=x+y);
  7. DISPLAY SUM
  8. END (Ending Of An Algorithm)

Flowchart

Agar hum ek Problem ke Solution ko Diagram aur Symbol ke zariye banate hain to use Flowchart Kehte hain.

What is Programming Languages? Types Of Programming Languages.

Pseudo Code

Pseudo Code yeh bhi ek problem solving Technique hai. Yeh dikhne mein to ek program jaise hoti hai. Lekin Pseudo Code likhne ke baad ek program jo likhne mein badi aasani hoti hai. Jisme hum Program ke jaise hi if, else, print, input, output jaise words ka use karte hain. Yeh teeno method Algorithm, Flowchart aur Pseudo ek Programming Language mein Program likhte waqt koi Error nahin ho.

To ab shayad aap achhe se samajh jaoge iske definition ko "Programming Language ek aisi bhasha hai jiska khas istemal computer ko kuch Instruction dene ke liye kiya jata hai jisse computer koi kary kar sake". Aajkal ki duniya mein jitne bhi Programming Languages hai wo sare High Level Programming Languages ke prakar mein aati hai. Iska matlab ye hua ki inn bhashao ka kayi prakar/part kiya gaya hai.

Post a Comment

Previous Post Next Post