Affiliate Marketing kya hai, kaise kaam karta hai aur isse paise kaise kamaye ko lekar apke mann mein bahut saare doubts honge. Aaj ke iss article mein hum issi ke baare mein baat karenge. Aajkal ka zamana to Computer, Internet aur Online Shopping/Marketing ka zamana hai. Online Shopping ka Trend chal raha hai aur ye dheere-dheere famous hota ja raha hai issliye bahut se log Online Business karne mein Interest dikha rahe hain aur E-Commerce site aur Personal Blog banakar paise kama rahe hain. Jo log bahut dino se Online Business kar rahe hain unhe Affiliate Marketing ke baare mein jarur pata hoga ya fir suna hoga. Bahut se Blogger apne Blog mein iska use karte hain aur kuch Blogger aise bhi hai jo iska use apne blog mein nahi karte, iske bahut se karan ho sakte hain jaise ya to unhe Affiliate Marketing ke baare zyada knowledge nahi hota ya fir wo aisa sochkar hichkichate honge ki kya iska use apne Blog mein karna sahi hoga ya nahi.

Aaj iss article mein maine aapko Affiliate Marketing kya hoti hai? Iske baare mein batane wala hoon jisse naye Bloggers ko jinhe iske baare mein koi jankari nahi hai unhe malum ho jayega aur jinhe thoda bahut malum hai iska use karne se hichkichate hain unhe bhi iske use karne ke fayde ke baare mein pata chal jayega. Apko yeh article pura padhna hoga jisse apke Affiliate Marketing se related sabhi doubts clear ho jayenge. Toh bina deri kiye chaliye shuru karte hain.

Affiliate Marketing In Hindi

Content:
  1. What Is Affiliate Marketing (Affiliate Marketing Kya Hai)?
  2. How Affiliate Marketing Works (Affiliate Marketing Kaise Kaam Karta Hai)?
  3. Some Important Definitions Related To Affiliate Marketing (Affiliate Marketing Se Related Kuch Important Definitions)
  4. How To Make Money From Affiliate Marketing (Affiliate Marketing Se Paise Kaise Kamaye)?
  5. How To Get Paid From Affiliate Program (Affiliate Program Se Payment Kaise Milta Hai)?
  6. Can We Use Affiliate Marketing And Google Adsense Simultaneously (Kya Hum Affiliate Marketing Aur Google Adsense Ka Use Ek Sath Kar Sakte Hain)?
  7. What Is Popular Affiliate Marketing Sites? (Popular Affiliate Marketing Sites Kon-Kon Si Hai)?
  8. How To Join Affiliate Marketing Sites (Affiliate Marketing Ke Sites Ko Join Kare)?
  9. Frequently Asked Questions Related To Affiliate Marketing (Affiliate Marketing Se Related Aksar Puchhe Jaane wale sawal)
  10. Be The First To Take Care Before Joining The Affiliate Program(Affiliate Program Join Karne Se Pehle Inn Cheezo Ka Khas Khayal Rakhe)

What Is Affiliate Marketing

What Is Affiliate Marketing (Affiliate Marketing Kya Hai)?

Affiliate Marketing ek aisa rasta hai jiske zariye ek Blogger kisi ek Company ke Product ko apne website ke through sell karta hai aur jab koi visitor uss product ke Link par Click kar uss Product ko kharidta hai to Blogger ko uss Product ke Company se Commission milta hai. Jo bhi Commission milta hai wo Product par depend karta hai ki wo kis type ka Product hai jaise Fashion aur Lifestyle Categories par zyada aur Electronics Product par kam Commission milta hai.

Kisi bhi tarah ke Products ko apne Blog ya Website ke through Promotion karne ke liye apke Blog ya Website mein zyada Traffic hona bahut jaruri hai, kam se kam 5000 Visitors per day. Agar apka Blog ya Website naya hai aur usme kam se kam Visitors aa rahe hai to Products ke Ads apne Website mein lagane se apko zyada profit nahi hoga Issliye behtar hoga ki aap Affiliate Products ko tabhi apne Blog ya Website mein lagaye jab apke Visitors zyada hone lage.

How Affiliate Marketing Works

How Affiliate Marketing Works (Affiliate Marketing Kaise Kaam Karta Hai)?

Iss sawal ka jawab unn logon ko janana bahut hi jaruri hai jo ki Online Field se jude hain. Agar wo bhi apna Affiliate Start karna chahte hai tab to unke liye "Affiliate Marketing kaise kaam karta hai" janana bahut hi jaruri hota hai. Agar koi Product Based Company ya Organization apne Products ki Sale badhana chahti hai tab iske liye unhe apne Products ko promote karna hota hai. Khas issiliye unhe apna Affiliate Program shuru karna hota hai.

Affiliate Marketing ka business Commission based hota hai. Jab koi other vyakti wo Blogger ya Website owner uss Program ko join karta hai, to iss Program ko shuru karne wala Company ya Organization usse apne Blog ya Website par unke Products promote karne ke liye koi Banner ya Link etc provide karti hai. Iske baad uss Blogger ko apne Blog ya Website par uss Link ya Banner ko different-different types se lagana hota hai. Chunki uss Blogger ya Website Owner ke sites mein bahut Visitors daily basis par aate hain. Isliye mumkin hai ki unme se kuch Visitor show kiye gaye offer ko click karta hai tab wo Product based companies ke Websites mein pahunchta hai aur koi cheez ya product kharidta hai ya kisi Service ke liye SIGN-UP karta hai to uske badle mein woh Company ya Organization uss Blogger ko iske badle Commission deti hai.

Some Important Definitions Related To Affiliate Marketing

Some Important Definitions Related To Affiliate Marketing (Affiliate Marketing Se Related Kuch Important Definitions)

Iss Marketing Program mein kuch aise Terms ka use hota hai jinke vishay mein hum sabhi ko janana bahut hi jaruri hai. Toh chaliye aise hi kuch Definitions ke vishay mein jankari prapt karte hain.

• Affiliates: Affiliates unhe kaha jata hai jo ki vyakti kisi Affiliate Program ko join karke, unke Products ko apne Sources jaise Blog ya Website par promote karte hain. Ye koi bhi vyakti hi sakta hai.

• Affiliate ID: Yeh ek Unique ID hota hai jo ki Sign-Up karne par prapt hota hai. Affiliate Programs dwara har ek Affiliate ko ek Unique ID di jati hai, jo Sales mein jankariya jutane mein help karti hai. Iss ID ki help se aap apne Affiliate Account mein login kar sakte hain.

• Affiliate Marketplace: Kuch aisi Companies hai jo ki different-different categories mein Affiliate Programs offer karti hai, unhe Affiliate Marketplace kaha jata hai.

• Affiliate link: Yeh uss Link ko kaha jata hai jo ki Affiliates ko Product Promoting karne ke liye provide kiye jate hain. Inn Links ko click karke hi Visitors kisi product website par pahunchte hain. Janha woh koi product kharid sakte hai. Inn Links ke through hi Affiliate Program chalane wale Sales ko Track karte hain.

• Commission: Ek successful selling ho jane ke baad jo Amount us Blogger ya phir jo selling karata hai (Affiliate) usse Commission kaha jata hai. Ye amount Affiliate ko pratyek sale ke hisab se diya jata hai. Yeh sale ka kuch percent ho sakti hai ya pehle se nishchit koi rashi jaise ki Terms & Condition mein pehle hi mentioned ho.

• Link Clocking: Aksar Affiliate links lambe aur dikhne mein thode ajeeb lagte hain. Iske liye aise links ko URL Shorteners ka use karke chhota banaya jata hai jisse Link Clocking kehte hain.

• Affiliate Manager: Kuch Affiliate programs mein Affiliates ki help ke liye aur unhe sahi sujhav (Tips) dene ke liye kuch vyakti niyukt kiye jate hain, Wo Affiliate Manager kehlate hain.

• Payment Mode: Payment paane ke tarike ko Payment Mode kehte hain. Iska matlab ki wo madhyam (Medium) jiske through apko apki Commission di jayegi. Alag-alag Affiliates alag-alag Modes offer karte hain. Jaise ki Cheque, Wire Transfer, PayPal etc.

• Payment Threshold: Affilaite Marketing mein affiliates ko tab kuch Commission diya jata hai jab wo kuch Minimum Sale kar le. Iss sales ko karne ke baad hi aap payment earn karne le liye eligible ho jayenge. Isse hi Payment Threshold kaha jata hai. Alag-alag programs ki payment threshold ki amount alag-alag hoti hai.

How To Make Money From Affiliate Marketing

How To Make Money From Affiliate Marketing (Affiliate Marketing Se Paise Kaise Kamaye)?

Aaj ke waqt mein Affiliate Marketing mein bahut se Blogger jude hue hain aur achhi khadi Income bhi generate kar rahe hain, Affiliate Market ke zariye blog se paise kamane ka sabse achha tarika hai. Affiliate Marketing se Income karne ke liye hamein koi bhi ek Affiliate Program mein jakar Register karna hoga. Register karne ke baad unke dwara dite gaye Ads aur Products ke Link ko hamein apne Blog par add karna hoga. Hamare Blog par aane ale koi bhi Visitors jab uss Ad par Click karke Product ko kharidega to hamein Company ke Owner se uska Commission milega.

Yanha sawal ye uthata hai ki ye Affiliate Program kon si Company Offer karti hai. To iska jawab hai ki Internet par aise bahut si Company hai jo Affiliate Program offer karti hai unme se kuch aise bhi hai jo bahut hi Famous hai jaise Amazon, Flipkart, Snapdeal, GoDaddy, etc. Aise aabhi tarah ke Company Affiliate Program offer karti hai jisme aap simply Sign-Up ya phir Register karke Company ke sath jud sakte hain aur unke products ko choose karke apne Blog par uske Link ya Ads ko Add kar ke bahut paise kama sakte hain. Aur Sign-Up ya Register karne ke liye hamein Company ko kuch bhi pay nahi karna padta hai.

Kon si Company Affiliate Program ki Service deti hai iska pata aap Google mein Search karke pata laga sakte hai. Jaise kisi ek Company ka name likhiye jaise maan lijiye Amazon aur uske name ke sath Affiliate likhiye aur Google mein search kariye, Agar wo Company Affiliate Program offer karti hai to aapko uska link wanha mil jayega aur aap aasani se uss Company ke sath jud sakte hain. Lekin kisi bhi Company se judne se pehle uske Terms & Conditions ko jarur padh le.

How To Get Paid From Affiliate Program

How To Get Paid From Affiliate Program (Affiliate Program Se Payment Kaise Milta Hai)?

Yeh alag-alag Affiliate Program par depend karta hai ki wo apne Affiliates ko payment dene ke liye kon se Modes ko Support karte hain. Par Generally sabhi Program payment ke liye Bank Transfer aur PayPal ka use karte hain. Affiliate Program mein kuch aise Terms use hote hain jiske binah par Affiliates ko Commission diya jata hai jaise


  1. CPM (Cost Per 1000 Impressions): Yeh ek Amount hai jo Merchant dwara (Yani product ke maalik dwara) Affiliate (Yani ki jo unke products ko promote karta hai) ko uske Blog ke Page par lagaye hue unn Products ke ads par 1000 Views hue hain to Merchant Affiliate ko uske bina par Commission deta hai.
  2. CPS (Cost Per Sale): Yeh Amount Affiliate ko tab milta hai jab uske Blog ke visitors products ko kharidta hai. Jitne zyada log products ko kharidenge uske Base par har ek purchase par Affiliate ko Commission milta hai.
  3. CPC (Cost Per Click): Affiliate ke Blog par lagaye hue Advertisement, Text, Banner par visitor ke har click par usko Commission mile hai.

Can We Use Affiliate Marketing And Google Adsense Simultaneously (Kya Hum Affiliate Marketing Aur Google Adsense Ka Use Ek Sath Kar Sakte Hain)?

Iska jawab hai haa, Affiliate Marketing se aap Google Adsense ke mukable zyada kam samay mein hi paise kama sakte hain. Aur ye Google Adsense ke terms of service ke khilaf bilkul bhi nahi hai kyoki ye puri tarah se legal hai. Aap nishchint hokar apne Blog ya Website mein Dono ka use kar sakte hain. Google Adsense ka approval paane ke liye jitna mehnat karna padta hai utna mehnat hame Affiliate Marketing ka use karne ke liye nahi karna padta isliye Maximum Bloggers Affiliate Marketing se kamana pasand karte hain. Jitna zyada product apke Blog ya Website se sale hoga utna zyada Income apka hoga.

Apne Blog se Related products ka Ad agar aap lagayenge to apko zyada profit hoga. Kehne ka matlab hai ki agar apke Blog ka Content Gadgets se related hai to ussi se related Ads lagaiye, isse apke visitors ke Ads par Click karne ki probability badh jayegi aur apki jyada profit hoga.

What Is Popular Affiliate Marketing Sites? (Popular Affiliate Marketing Sites Kon-Kon Si Hai)?

Internet par vaise to apko bahut saare Affiliate Marketing Companies available hai lekin main aaj apko kuch Popular aur Best Companies ke baare bataunga jo apko jyada Commision pradan karti hai.

Kisi bhi Affiliate Program ko Join karne se pehle apko uss program se related sabhi jankari pehle hi prapt kar leni chahiye. Agar aap kisi Company ke Affiliate Marketing Program ke vishay mein janana chahte hain tab aap kisi bhi Search Engine par Company ke name ke aage Affiliate likh kar search karna hoga to search results mein show karega.

Best Affiliate Marketing Sites :


  1. Snapdeal Affiliate
  2. Amazon Affiliate
  3. Commision Junction
  4. Clickbank
  5. eBay

How To Join Affiliate Marketing Sites (Affiliate Marketing Ke Sites Ko Join Kare)?

Agar aap koi bhi Affiliate Marketing Sites ko join karna chahte hain tab ye badi hi aasani se kar sakte hain. Iske liye aapko kuch steps ko follow karna hoga jisko follow karte hi aap asani se apna Affiliate Income Start Kar sakte hain.

Yanha neeche main aap logon ko Amazon ki Affiliate kaise join kare ke baare mein bataunga. Sabse pehle to aap jis Company ka Affiliate Program join karna chahte hain uske Affiliate Page mein jana hai jaise ki agar aapko Amazon Affiliate join karna hai to aapko wanha ek New Account create karna hoga jana par aapse kuch Specific Information puchi jati hai jaise ki –

  • Name
  • Address
  • Email Id
  • Mobile Number
  • Pan card Detail
  • Blog/Website Url (Janha aap company ke products promote karenge)
  • Payment Details (Janha aap chahte hain ki apki sari earnings bheji jayegi)

Sabhi Information thik se bhar dene ke baad jab aap Register kar lete hain to Company apke Blog ko Check karne ke baad apko Confirmation Mail send karti hai. Register karne ke baad aap jab Login karenge to aapke samne ek Dashboard aayega janha par aapko products ko choose karke uske Affiliate Link ko copy kar lena hota hai. Aur usse apne Blog/Website ya phir Social Media par Share kar dena hai janha se log uss product ko kharide aur aap aaram se paise kama sakte hain.

Frequently Asked Questions Related To Affiliate Marketing (Affiliate Marketing Se Related Aksar Puchhe Jaane wale sawal)

Abhi hum kuch aise FAQ (Frequently Asked Questions In Hindi) ke vishay mein janenge jo ki log aksar puchte hain aur unke jawab Internet mein dhundhte hain. Toh chaliye Affiliate Marketing ke baare mein itna sabkuch jaan lene ke baad kuch aise hi sawalo ke jawab jante hain, jo ki aage chal kar apke Affiliate Career ke liye Important sabit hoga.

Kya ek website par Affiliate Marketing Ad Networks jaise ki Adsense ko use kiya ja skta hai?

Ji haa kar sakte hain, Affiliate Marketing Aur Ad Networks ko ek sath use kiya ja skta hai. Kayi logon ke liye Affiliate Marketing Ad Networks ke mukable, kamayi ka jyada badhiya Source hai, agar aap Review jaisi site chala rahe hain tab.

Kya Affiliate Marketing ke liye Blog ya Website hona jaruri hai?

Yeh jaruri to nahi hai, lekin agar apke paas koi aise koi Blog ya Website hai to phir ye Affiliate Marketing se paise kamane ka sabse badhiya source hota hai, kyuki apko visitors lane ki jarurat nahi hoti hai balki woh khud apke Blog par aate hain.

Kya sabhi Companies ya Organizations Affiliate Programs Offer karti hai?

Yeh to kehna mushkil hai ki sabhi Companies Affiliate Program Offer karte hain kin nahi. Lekin prayah sabhi badi Companies Affiliates Program Offer karte hain. Agar aap kisi Company ke Affiliate Program ke vishay mein janana chahte hain tab apko bas Company + Affiliate ko Search Engines mein searcs karna hai aur apko uske vishay mein aabhi jankari search result mein mil jayegi.

Affiliate Marketing se judne ke liye kya koi khas Course wagerah karna padta hai?

Ji nahi, apko bas iske sambandh mein kuch cheezon ki Knowledge honi chahiye. Internet mein aise bahut se Websites aur Blogs hai jo ki Affiliate Marketing ke vishay mein achhi jankari dete hain.

Kya Affiliate Program join karne ke liye ko Fees lagti hai?

Basically sabhi Affiliate Program Free hote hain. Join karne ke liye agar koi apko paiso ki demand karta hai tab aap usse kabhi bhi join karne ki bhul na kare. Kyuki ye hamesha Free honi chahiye.

Hum Affiliate Marketing se kitne paise kama sakte hain?

Yeh puri tarah se aap par depend karta hai ki aap visitors ko iss Program ki taraf attract kar paye hain aur unse kitni sales hui hai. Jitna jyada aap Sales kara sakte hain uss hisab se hi apko Commission bhi milega. Iske liye jo sabse important baat ye ki apke visitors ka apke upar Trust (Vishwas) hona jaruri hai.

Affiliate Programs mein Payment thik se na aane par kya karna chahiye?

Agar kabhi apke Payments ko lekar koi taklif hoti hai tab iss cheez ke liye apko uss Affiliate Company ke Support Team se Contact karna hoga. Kyuki kayi baar kuch Company Policies ke chalte kuch samay ke liye Affliates ke payments ko rok diya jata hai. Isme jyada chinta karne ki jarurat nahi hai kyuki apke payment der se hi sahi lekin apko milegi jarur.

Be The First To Take Care Before Joining The Affiliate Program(Affiliate Program join karne se pehle inn cheezo ka khas khayal rakhe)

Jab bhi aap koi naya Adhikari Program Join karna chahe ya koi Affiliate Network mein Enroll hona chahe tab aapko kuch cheezo ka pehle hi khas khayal rakhna chahiye. Chahiye iske baare mein janta hain : –


Inn sabhi Factors ke baare mein pehle se janane mein hi aapki bhalayi hai kyunki inse apko unke vishay mein bahut kuch janane ko milega jo ki apko ye decide karne mein help karega ki kya aap inn particular products ko promote karne ke liye teyar hai bhi ya nahi. For Example Agar aap koi Seasonal product select karte hain aur unki minimum payout karib $1000 hai. Tab apko ye sure hona padega ki kya aap ye target uss particular Season mein Achieve kar sakte hain ya nahi. Agar ha to thik hai aur agar nahi tab aapko iske baare mein pehle hi teyar ho jana chahiye.

Bonus Tip: Agar aap bade aur Famous Brand ke sath jud sakte hain tab ye apke liye ek bahut hi bada Added Advantage siddh hi sakta hai apke Affiliate Marketing Campaign ke liye.

Ye tha Affiliate Marketing kya hai (Affiliate Marketing In Hindi) aur isse paise kaise kamaye ke baare mein kuch jankari, jisse jud kar aap bahut achha Income kar sakte hain. Aasha karta hu apko ye Article pasand aaya ho. Yeh Article apko kaisa laga mujhe Comment likh kar jarur bataye taki main bhi apke vicharo se kuch sikhne aur kuch sudharne ka mouka mile. Mere post ke prati apni excitement ko dikhane ke liye iss post ko Social Networks jaise ki Facebook, Google+ aur Twitter par share kijiye.

1 Comments

Post a Comment

Previous Post Next Post